Latest Ghazal SMS & Text Messages
Wo jo basa ha mere dil ma usey bataon kese.
Dar b lagta ha zamane se chupaon kese.
Wo shakhs to panchi ha ur jaiega.
Ma khud ko us k peche uraon kese.
Ma Tu us k liya duniya hi chorr dun.
Es se ziayda ma usey toot ker chahon kese.
Dil ha jo us ajnabi ko apna manta ha.
Es dile nadan ko ma samjhaon keSe.
Woh shakhs mere dil pe hukmarani karta ha.
Us k elava ma or kisi ko Basaon kese.
Meray ajnabi?
meray aashna?
tujhe harf harf main dua likhoon.
Koi aisa wisaal naseeb kr?
tujhe chaand? taaray? hawa likhoon.
Agr na ban sakoon kbhi tera?
to hayaat ko main fana likhoon.
Ye zindagi qdam qdam pe?
teri yaad se jwan rahe?
meray ajnbi?
meray aashna?
main tujhe kbhi na juda likhoon
Cheraag-o-aftab gum,
bari haseen raat thi,
Shabab tha nakab main,
bari haseen raat thi,
Mujay pila rahe thi wo,
k khud hi shama buj gai,
sharab gum, gilas gum,
bari haseen raat thi,
labon se lab jo mil gay,
labon se lab hi sil gay,
sawal gum, jawab gum,
bari haseen raat thi,
likha tha jis kitab main,
k ishq to haram hai,
hoi wohi kitab gom,
bari haseen raat thi
Tum Mere Dil Me Samao To Koi Bat Bane,
Phr Kbi Door Na Jao
Tu
Koi Bat Bane
Dost Kehne Se Hi Bat Nahi Banti,
Dost Ban K Dikhao
Tu
Koi Bat Bane
Hum Tu Chup Chup Hi Rehte Hain Subho Sham Mgr,
Tum Kbi Aa k Hansao
Tu
Koi Bat Bane
Sath Dene Ki Sb Bat Karte Hain,
Tum Agr Sath Nibhao
Tu
Koi Bat Bane.
Wo aainge to rang o noor ki barat aaigi.
Hum jainge to bdnami hamare sath jaigi.
unhain bdnamion ka dar hamey dawa mohobbat ka.
Hum apni jaan dedenge jo un per bat aaigi.
sarey mahfil jo bantay jainge sadqay jawani kay.
Meray hissay main un kay hosn ki khairaat aaigi.
Ghata ban jainge badal tabah hojaiga mosam.
Idhar wo zulf kholenge udhar barsat aaigi.
Jb teri dhun me jiya krte they,
Hum b chup chup k piya krte they.
Ankho me pyas hua krti thi,
Dil me tufan utha krte they.
Log atey they ghazal sun?ne ko Hum Teri Baat Kia Krtay Thay,
Sach Samjhtay Thay Teray WadoON Ko,
Raat Din Ghar me Raha Krtay Thay,
Wo Bhi Kya Din Thay Jab Bhula K Tujhay,
Hum Dobara Tujhay Yaad Kia Krtay Thay,
Aaj Tujhay Dekh K YaAD Aaya
Hum Bhi kabhi Ishq Kia Krtay Thay.
Kabhi shikaston k dukh uthaye to us se puchoon.
Woh meri manind toot jaye to us se puchoon.
Usey bhi koi sitara manzil se dur kar de.
Usse bhi rasta nazar na aye to us se puchoon.
Safar main woh bhi kisi kare imtihan se guzre.
Usse bhi yun koi azmaye to us se puchoon.
Usse mohabbat main kon sa dukh dia hai main ne.
Kabhi nazar se nazar milaye to us se puchoon.
Meri tarha din charhe talak wo bhi na soay.
Usse bhi shab bhar na neend aye to us se puchooN
Teri har nazar sahara,
teri har ada ishaara,
kabhi dil-bari ne loota,
kabhi be-rukhi ne mara,
meri zindagi se kheela,
teri muskurhaton ne,
kabhi shauq ko ubhara,
kabhi shauq ko dabaya,
in tand-o-tez mojon se,
hum bacha ke lae thay kashti,
jo kareeb ho chalay tum,
to sirak gaya kinara???..!
Jab aglay saal yahe waqt Aa raha hoga,
Ye kon janta hay kon kis jaga hoga,
Tu mairay pas baita hay ar main sochta hon,
keh anay lamhon main jeena b ek saza hoga,
yahe jaga jaha hum aj melkay baitay hain,
es jaga pa khuda janay kal ko kia hoga,
Becharnay walay tujay daik kar main sochta hon,
Too per melayga tu ketna badal chuka hoga?
ab k hum bichhRay to shayad kabhi khwaboN mein mileN
jis tarah sookhay hue phool kitaboN mein mileN
DhoonD ujRay hue logoN mein wafa k moti
ye khazanay tujhe mumkin hai kharaboN mein mileN
gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha baRhta hai sharabeN jo sharaboN mein mileN
tu khuda hai na mera ishq farishtoN jaisa
dono insaaN hain to kyun itnay hijaaboN mein mileN
aaj hum daar pe khenchay gaye jin baatoN par
kya ajab, kal vo zamaanay ko nisaaboN mein mileN
ab na vo main hun, na tu hai, na vo maazi hai faraz
jaise do shakhs tamanna k saraaboN mein mileN
